Gmail Google id ka password kaise recover kare

0
971

Gmail Jo ki Google ka hai Isse aapke bahut Saare account jude huye hai jaisa ki aap sabhi jante hai Google ke saare account ke liye aap Gmail ka passwod use karte hai maan lijiye aap Apna Gmail Account ka password hi bhool gaye to aap Google ke kisi bhi account me login nahi ho payenge chaye wo Gmail ho ya google Drive ya phir Google play

Gmail Password Bhool gaye hai to kaise recover kare

  1. Google.com me jaaye aur Gmail me click kare
  2. Uske Baad Forget password Me click kare
  3. Aapse Enter last password Enter karne ke liye pucha jayega Apna last password jo apko yaad hai wo enter kare
  4. Yadi yad nahi hai to try another way par click kare Aapse apka mobile number enter karne ke liye pucha jayega
  5. Mobile number Enter karne ke baad apke mobile number me Ek otp aayega usko Enter kare
  6. OTp Enter Karne Ke baad Apko Password Reset Kar diya jayega Ap apka new password Create kar lijiye usko Retype kar lijiye
  7. Sucessfully Apka password Reset Ho jayega

Gmail password kaise reset kare yadi phone number aur recovery address me mail na aa paye

Friends yadi aap apka mobile number aur recovery Email Address nahi kar pa rahe to google aapko ek option deta hai jisme apko 24 hrs ke andar apki email id me ek mail bheja jata hai jaha se aap apni email id ka password change kar sakte hai

Dosto ummid hai ye post helpful hogi yadi aap kuch puchna chate hai to puch sakte hai Comment Box me ap aapke question puch sakte hai